Aap aisa bhi keh sakte hain ke web pages ko make up karne ke liye CSS ka istaimaal kia jata hai.
w3schools.com ki website se notes liye ja rahe hain.
CSS kia hai?
- CSS jo hai wo Cascading Style Sheets ka full form hai
- CSS zahir karta hai ke HTML ke anaasir ko screen par, paper par ya media par kese zahir kiya jae.
- CSS buhut sara kaam bachati hai. Ye sare web pages ki banawat ko ek dam control karne ki salahiyat rakhti hai.
- Baahar ki stylesheets ko alag CSS file main mahfooz kia jata hai.
Humko kyoon CSS istaimaal karni chahiye?
CSS ko style aur design zahir karne ke liye istaimaal kiya jata hai.
Hum apne web pages main design, dhaancha and tabdeeliyan laane ke liye bhi iska istaimaal karte hain, jo mukhtalif aalaat ki screen aur sizon pe zahir hoti hain.
CSS ne bara masaila hal kardiya
HTML main aisi koi bhi tags mojood nahi hain jo hamare web page ki achi setting kar saken ya usko khoobsoorat kar saken!
HTML ko sirf web page ke mawaad zahir karne ke liye banaya gaya tha, jesa ke neeche di gae misaal main dikhaya gaya hai:
<p>Ye ek paragraph hai</p>
Jab <font> aur color attribute HTML 3.2 main shamil kiye gae, to is tag ne web developers ko nae khuwab dikhae.
Jab bari bari websites banae gae, aur har page main font aur color ka istaimaal hone laga, to wo buhut bara aur kharche wala marahala hota gaya.
Is masaile ko hal karne ke liye World Wide Web Consortium (W3C) ne CSS ko takhleeq kiya.
CSS ne HTML page main se style ki formatting ko khatam kardiya.
CSS buhut saare kam se bachati hai!
Style ki tashreeh ya coding ko ek alag file main .css extension main mehfooz kiya jata hai, aur phir html file ke sath link kiya jata hai.
Us alaga bahar wali css stylesheet file ke zariye se aap apni website ka zahri dikhao ko tabdeel kar sakte hain.
Jab bhi aap ko koi tabdeeli karni hogi to aap sirf wo css file kholenge aur us main jo chahen kar sakte hain, color, size, lambai, chorai aur buhut sari khoobsoorti aap la sakte hain apni website main.
CSS ki coding kesi hoti hai?
Neeche hum ek choti si misaal aap ko de rahe hain, jise pehle hum html ki body ke background color matlab ke ek rang de rahe hain.
Us ke baad heading tag h1 tag ko color white de rahe hain aur uske text ki seedh ko beech main kar rahe hain.
Aur aakhir main paragraph tag ke font ko verdana kardia hai aur font size 20px kardia hai, ab aap neeche di gae stylesheet ki coding dekhen.
body {
background-color: lightblue;
}
h1 {
color: white;
text-align: center;
}
p {
font-family: verdana;
font-size: 20px;
}