What Is Grammar? | Grammar Definition In Urdu

What Is Grammar? | Grammar Definition In Urdu
What Is Grammar? | Grammar Definition In Urdu

Grammar is the science of any language, which teaches us that how words are written and arranged in sentences.

Grammar can set the structure of sentences of any language.

Definition In Urdu:-

Grammar kisi bhi zaban ki science kehlati hai, jo hamen sikhati hai ke lafz jumlon men kese likhe jate hain aur unko kese tarteeb diya jata hai.

Example:-

Farz karen hum neeche ek jumla likhte hain jiski tarteeb sahi nahi hai, jisko grammar ke usoolon ke bagher likha gaya hai.

School main jata aaj hun.

kia aap oopar diye gae jumle ko samajh sakte hain? Samajh to gae honge magar is ki tarteeb theek nahi hai.

Ab hum isi jumle ko grammar ke lihaz se likhte hain.

Main aaj school jata hun.

Ab jo jumla hum ne likha hai uski tarteeb bilkul durust hai aur parhne main acha bhi lag raha hai, aur bat samajh bhi aa rahi hai. 

To is liye Grammar ka seekhna buhut zaroori hai, kiyoon ke agar hum chahte hain ke English humko sahi tarha se bolna, likhna, samajhna aur sunna ajae to humko Grammar ka sahara lena parega.

Grammar hamen sikhati hai ke aaj jo kam hota hai, usko hum kese likhen ya parhen? Aaj jo kam ho raha hai uski english kiya hogi? Kal jo kam hoga usko English main hum kese likhenge ya bolenge?


Post a Comment

If you have any doubts, let me know.

Previous Post Next Post