Agar che taareekh main kuch bhi nahi badla lekin taarekh, naya saal har ek nae siray se cheezon ko shuru karne ki umeed se bhar deta hai, is post main aap ko Data Science Seekhne Ke Liye Roadmap bataunga.
Agar aap thora sa mansooba bandi, acha sa tasawur aur ek seekhne ka road map shamil karte hain to, aap ke pas taraqi se bharpoor ek saal ke liye ek behtreen uskha hoga.
Ye post aap ko seekhne ke framework, wasaail aur project ideas faraaham kar ke aap ke mansoobe ko mazboot banaegi, taa ke aap ko data science main mahaarat hasil karne main madad mil sake.
Aap is road map ko kisi bhi makhsoos domain ya mutaliye ke shobay ke mutabiq dhaal sakte hain jo aap ke liye dilchaspi rakhta ho.
Seekhne ka road map kya hai?
Seekhne ka road map nisaab ki tosee hai. Ye ek kaseer darje ka mahaarat ka naqsha tayaar karta hai, jis main is baat ki tafseelat hoti hain ke aap kon si mahaarat hasil karna chahte hain?
App har sataah par nataaij ki pemaaish kese karenge, aur har mahaarat ko mazeed uboor haasil karne ki technique.
Ye road map haqeeqi dunya main is ke itlaaq ki pecheedgi aur mushtarqat ki bunyad par har satah par wazan tafweez karta hai.
Programming ya Software Engineering kese seekhen?
(Time: 2 se 3 maheene)
Sab se pehle, is baat ko yaqeeni banaen ke aap ke pas programming ki mahaarat hai. Data Science ki job lene ke liye aap ko kisi bhi ek programming language main mahaarat ki zaroorat paregi. Main aap ko Python programming seekhne ki salah doonga.
Python ek buhut hi asaan programming language hai, jo ke ek bacha bhi aram se seekh sakta hai.
Specific programming topics to know include:
- Aam Data Structures (jis main data types, lists, dictionaries, sets, tuples), shaamil hain, functions likhna, logic, control flow, searching yaani talaash karna aur sorting algorithms talaash karna, object-oriented programming, aur baahar ki libraries ke saath kam karna.
- SQL Scripting: Query databases ke sath karna, joins ko istaimaal karna, aggregations, aur subqueries
- Terminal, version control Git main istaimaal karna, aur GitHub ko istaimaal karna zaroor ana chahiye.
Python Seekhne ke liye zaraae:
- learnpython.org [free]— Ek free zarya nae seekhne walon ke liye. Ye sare basic programing topics cover karta hai.
- Kaggle [free]— Ek free guide Python seekhne ke liye. Ye ek short tutorial hai jo data science ke saare aham topics cover karta hai.
- Python certifications on freeCodeCamp [free] – freeCodeCamp buhut saare certifications offer karta hai, jin ki bunyad Python par hai. Jesa Ke Scientific Computing, Data Analysis, aur Machine Learning.
- Python Course by freecodecamp on YouTube [free] — Ye ek 5-ghante ka course hai, jis ko follow kar ke aap bunyadi usoolon ki practice kar sakte hain.
- Intermediate python [free]— Ek aur free course Patrick featured ki taraf se jo ke aap ko freecodecamp.org website pe mil jaega.
- Coursera Python for Everybody Specialization [free] — Ye ek specialization course hai beginner-level walon ke liye concepts ko samajhna is main asan ho jaega, python ke data structures, data ki collection web se, aur yahan pe aap Python ke sath databases ko istaimaal karna seekhenge.
Resources for learning Git and GitHub
- Git aur GitHub ke liye guide [free]: Aap yahan se ye tutorials mukamil kar sakte hain jo ke buhut zaroori hai. Ye aap mazeed open-source projects ke liye madad karenge.
- Ye hai mukamil course Git and GitHub crash course jo ke freeCodeCamp YouTube channel par mojood hai.
Resources for learning SQL
- Ye hai ek course on SQL and Databases jo ke freeCodeCamp YouTube channel par milega.
- Intro to SQL aur Advanced SQL Kaggle ki website pe mojood hai.
- Treehouse offer karta hai ek good introductory SQL course here.
Post Jari hai.......